Powered by Blogger.
RSS

Mere Armaan In Poetry Words



MERE ARMAAN
Jo Armaan mere so gaye the
Jane kaise Wo Aaj jag Gaye Aur mujhe Phir Wahi Sapna dikha gaye,
Hum to Ji Rahe the ek jinda Laash ki tarah,
Jane aaj Kaha se woh hum par Jaan Daal gaye Phir wahi Dard Aur takleef jaga gaye,
Jin gumon se Hum bhaag Rhe the Woh Aaj phir hume,
Tadpa gaye,
Har lamha har pal hum to sirf haste the Phir Kyu Aaj humari ankhon me ansoon Aa gaye,
Socha tha shayad phir kabhi na aane denge inhe apne labon par Phir kyu aaj ye labon par aate aate rah gaye,
Jindagi ji rahe the haste haste Phir kyu aaj ye gumon ke badal
chha gaye,
Na kisi dukh ka ahsaas tha Aur na kisi khushi ka Phir kyu aaj hum khushiya manane lage,
Aur rone ko tadap gaye Jane mere armaan kaise jaag gaye....!!!

  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS

0 comments:

Post a Comment